Prem ka Pratidaan

kaise karoonga mai tumhare prem ka pratidaan priyatam?

saunpa dil, saunpa hai ye man, saunpa hai tumko hi jeevan
ab bacha kya? mai akinchan. doon tumhe ab kaun sa dhan?

door kar do tum hi mere man ka ye agyan priyatam...
kaise karoonga mai tumhare prem ka pratidaan priyatam?

dev hota to tumhe devatva ka uphaar deta
chandni ko chand se jo, wo vilakshan pyar deta.

per manu ka pootra tahra, kuchh nahi hai paas mere
bus liye baitha hriday me prem ka ahsas mere

umra bhar tujhe yaad rakhoon,do mujhe vardaan priyatam
kaise karoonga mai tumhare prem ka pratidaan priyatam...?

2 टिप्पणियाँ

Make A Comment

Sudhi said...

waah bhaiya
kavita bhi aa gayi!!

~$udhi


vikash said...

kavita 'bhi' matlab kya hai be...???

Post a Comment


  • मेरे बारे में

    My Photo
    विकास कुमार
    मैं एक स्वप्नद्रष्टा हूँ. हर वक्त सपने देखने का साहस करता हूँ और उन्हें सच मानने की मूर्खता. मुझमें असंभव की आकांक्षा है और मैं जीवन के अध्ययन में प्रयत्नरत हूँ.
    View my complete profile
top